Humne bahane dhoondh liye fikra nahin hai...
Tanhai se baten karen shikwe na gila hum...
***
Ab waqt kahan sikh-kar laun amal me main...
Doob chuke kab ke fareb-e-jehn men hum...
***
Karishme nahin hote hain roj zamin pe..
Karishma hua jo tum chale aaye zamin pe..
***
Khud ka pata nahin to zamane ko kya kahen...
Unko bhee mere jaisa muqaddar mila to kya...
***
Bekhudi me bhee kabhee ilzam na denge...
Chahe sharab me bhee zahar koi mila de…
***
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें