शुक्रवार, 23 नवंबर 2012



Lamhon ki zindagi men lamhon ki baat karna...
Mumkin hai koi lamha kabhi tumse rooth jaye.....

***
Ye qaid umra bhar ki ek bar rihai hai..
Aazad gulistan me khilne ki manahi hai...
***

Ab dil hi nahin karta shikwe kisi se karna...
Majboor har insan ab kyun kisi se kahna....

***
Aankhon ki juban dil ki kabhi dastan na kahna...
Jab dard beintihan ho khamosh lab hi rakhna....

***
Duniya se khafa hona ya khud ko saza dena..
Fark nahin shayad, samjhe na dil deewana....

***

Dard se wasta agar hoga...
Waqt ka silsila ruka hoga....
***

SuMaN:):)

बुधवार, 21 नवंबर 2012

Main akele kuchh nahin likh pata
Likhne ke bad yaad nahin rahta
Bas baha jata hai khwabon ka safina
Mauzen nahin miltni sahil nahin dikhta

SuMaN:)