गुरुवार, 29 मार्च 2012

March 29, 2012

Hum be-kadar rahe iska gila nahin..

Insan ke jajbat ka kuchh to sila mile...

…

Najmon ki zamin me jara chaht ki nami ho..

Kuchh fark nahin chahe fir waqt ki kami ho..

…

Har shakhsh ki kismat men INAM nahin hota..

Kuchh haath rahe khali kabhi JAM nahin hota...

…

Waqt be waqt khayalat machal jate hain..

Jane kya bat wo ab bhee yaad aate hain.."

…

Sikha hai muskurana tumse tere labon se...

Koshish karo inpe kabhi aaye nahin khizan…

…

Bikhre pannon ko samjha raha hun...

Sach mano khud ko aazma raha hun..

…

Beeran nahin ye basti rahti hain badliyan...

Kuchh dhoop ki garmi kuchh zulf-e-kehkashan..

…

Apna wajood jisse hai wo kaise zuda ho...

Tanhai me yaden aur sahra men dua ho…

…

Mushkil raste the mushkil nahin the log..

Tanhai ki aadat na jane kaise lag gayi..

Halat pe ilzam to ab har juban par..

Wajhen hazar thin koshish nahin huyi..

…

Aah se wah ka anjan safar tai karma..

Ek ahsas hai dhoondho na haqeeqat iski..

Dard ki intihan dard nahin ho sakta..

Man lo sach hai andhera nahin rukne wala..

…

Hum kabhi der tak door nahin ja sakte…

Mujhko anjan thikanon pe talasha na karo..

…

Kuchh kahne ki aas liye raat gayi ab din bhee dhala..

Kaise dil ummeed kare jo tab na hua wo ab hoga..

…

SuMaNJ

शनिवार, 17 मार्च 2012

Happy Weekend !

17th March, 2012-03-17

Anjan raha khud se aksar pehchan bataya yaron ne..
Pal do pal ki jab pai khushee khoob rulaya yaron ne..

.......

Unmad kahen ya ek junoon..
Dil chhoona chahe neel gagan...
Sang sapne ho sang ek sanam...
Man karna chahe har ek jatan....
Laut aayen zamane fir beete..
Band kar len muthee fir se hum
...


SuMaN:)

गुरुवार, 15 मार्च 2012

Sapnon se kuchh doorie ho..
Saath rahen majboori ho..

Shubh Ratri!

SuMaN:)

15th march, 2012-03-15

Waise to ajnabi the rahte the ek gali men..

Meri khabar thi usko uski khabar thi humko..

Kahne ko fasle the deewaren darmiyan the..

Najron ko sab pata tha bas lab hin bejuban the..

…

Fark dhoondhoge to kho jaoge..

Fir koi shikwa kare chahe khafa ho jaye..

…

Mujhko pata hai wo bhee chhup ke dekhte hain..

Kahne ko unki najren khoyee hain bekhudi men….

…

Har chehra apna lagta hai..

Apnee soorat anjani see….

…

Tejzeeb muhabbat men rushwa huyee to kaise…

Hum to wafa ka daman chhoote hin jal gaye the..

…

Jaise the hum waise hain..

Tum bolo tum kaise ho..

Khud men khoye rahte hain..

Khabar nahin kya kahte ho..

...

SuMaN:)

मंगलवार, 13 मार्च 2012

Jab dil dhadke man muskaye..

Yakeen hai mera saath doge wahan tak..
Jahan zindagi bhee gujarti nahin hai..

...

Dhagon me piroya tha khwabon ke haseen phool..
Bikhre nahin the sapne, bas tha na unko kabool..

...

Kafila ishq ka gesu men ulajh jaye agar..
kaun kehta hai safar khatm hua jata hai..
Sari rushwaiyan janam ki tumhen hongi hasil..
Aur tanhaiyon ko fir se jeene ka bahana hoga..

...

Bekhudi ke nagme tum bekhudi men gana..
Khamosh wadiyan hon soya rahe zamana..

...

Bekhudi raas na aaye to muskura dena..
Log samjhengen sehar door nahin hai..

...

Unkee nahin hai khair jo be-fikra muflison se..
Sar pe kafan bhee dekh lo rang jiska lal hai..

...

Tanha gujar rahi theen manzilen apni udas..
Ab jashn ka mahaul hai badli hain mehfilen..

...

*** SuMaN ***

शनिवार, 10 मार्च 2012

Happy Sunday :)

Khamoshi ki goonj suno aur yaad karo gujre lamhe
Bacha ke humne rakhee hai apne bhee sapne bhee

........

Khamoshi se baaten karna YAAD bhee hai FARIYAAD bhee hai
Unkee SHIQAYAT woh hin janen, jaisee KAL thee AAJ bhee hai


SuMaN:)

गुरुवार, 8 मार्च 2012

8th March 2012

Thodo behki thodi mehki har kali hairan hai..

Bagon me kyun aa pehunche kafile deewanon ke..

Main pareshan ho gaya jab bhee chali thandhi pawan..

Sansen lehki dil bhee behka khushboo se mehka SUMAN..

Marne ki sari koshishen nakam ho gayee..

Bas ek nazar pe zindagi qurban ho gayee..

Ek khayal…

Jab zindagi ko lutf ki aadat si ho gayee..

Daman jhatak ke chal diye begane ho gaye…

Door the gam se kyun rishta bana diye..

Kyun fir se hum be-sabab anjane ho gaye..


Happy Holi .. SUMaN:)