Lamhon ki zindagi men lamhon ki baat karna...
Mumkin hai koi lamha kabhi tumse rooth jaye.....
***
Ye qaid umra bhar ki ek bar rihai hai..
Aazad gulistan me khilne ki manahi hai...
***
Ab dil hi nahin karta shikwe kisi se karna...
Majboor har insan ab kyun kisi se kahna....
***
Aankhon ki juban dil ki kabhi dastan na kahna...
Jab dard beintihan ho khamosh lab hi rakhna....
***
Duniya se khafa hona ya khud ko saza dena..
Fark nahin shayad, samjhe na dil deewana....
***
Dard se wasta agar hoga...
Waqt ka silsila ruka hoga....
***
SuMaN:):)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें