March 29, 2012
Hum be-kadar rahe iska gila nahin..
Insan ke jajbat ka kuchh to sila mile...
…
Najmon ki zamin me jara chaht ki nami ho..
Kuchh fark nahin chahe fir waqt ki kami ho..
…
Har shakhsh ki kismat men INAM nahin hota..
Kuchh haath rahe khali kabhi JAM nahin hota...
…
Waqt be waqt khayalat machal jate hain..
Jane kya bat wo ab bhee yaad aate hain.."
…
Sikha hai muskurana tumse tere labon se...
Koshish karo inpe kabhi aaye nahin khizan…
…
Bikhre pannon ko samjha raha hun...
Sach mano khud ko aazma raha hun..
…
Beeran nahin ye basti rahti hain badliyan...
Kuchh dhoop ki garmi kuchh zulf-e-kehkashan..
…
Apna wajood jisse hai wo kaise zuda ho...
Tanhai me yaden aur sahra men dua ho…
…
Mushkil raste the mushkil nahin the log..
Tanhai ki aadat na jane kaise lag gayi..
Halat pe ilzam to ab har juban par..
Wajhen hazar thin koshish nahin huyi..
…
Aah se wah ka anjan safar tai karma..
Ek ahsas hai dhoondho na haqeeqat iski..
Dard ki intihan dard nahin ho sakta..
Man lo sach hai andhera nahin rukne wala..
…
Hum kabhi der tak door nahin ja sakte…
Mujhko anjan thikanon pe talasha na karo..
…
Kuchh kahne ki aas liye raat gayi ab din bhee dhala..
Kaise dil ummeed kare jo tab na hua wo ab hoga..
…
SuMaNJ
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें